Thursday 30 August 2012

Tum haqiqat ho koi khawab nahi.....

maiN bhool jaaoon tumhe, ab yahi munaasib hai
magar bhoolna bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
ke tum to fir bhi haqikat ho koi khwaab nahiN
yahan to dil ka ye aalam hai kyaa kahoon 'kambakht'
bhula saka na ye wo silsila jo thaa hi nahiN

wo ik khyaal jo awaaz tak gaya hi nahin
wo ek baat jo maiN keh nahiN saka tumse
wo ek rawt jo hum meiN kabhi raha hi nahiN
muJhe hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahiN
agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye

tumhe bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
ke tum to fir bhi hakikat ho koi khwaab nahiN

Wednesday 29 August 2012

Tum Bin....



Manga Hi Nai Maine Apni Chahat

Ka Sila Tujhse ,
Ke Shahyad Inkar Ki Bhi Fursat Na
Ho Tere Pass



Mohaabat naam hai jiska wo aisi qaid hai,
Ke umren beet jati hain, saza pori nahi hoti..



Mujh Se Pathar Ye Keh Kar Bachne Lage.
Tum Na Sambhlo Ge Thokaren Kha Kar




Monday 20 August 2012

Lout Aao Na...


Suno tum lout aao na tumhari yaad aati hai,
koi benaam sa ik dard in aankhon ko rulata hai, 
ye dil jab bhi dharakta hai tumhara naam leta hai,
Sunoo … tumm lout aao na

Mohabbat ka koi Naghma hawaye jab bhi gaati hain tumhe wapas bulati hain,
ye dhalti shaam apne sang udaasi gher lati hai,
mohabbat ki kasam tumhari yad ka mousam jab bhi aata hai mujhe bahut rulata hai,

suno tum lout aao na, tumhe bas itna batana hai...!!!

wo beetey lamhe.....

Beetey Lamhe Kyon Har Pal Yaad Aate Hai
Yaad Aa Aa Kar Phir Humein Kyon Is Tarah Sataate Hai

Kyon Ek Insaan Ek Aisi Chaap Chod Jaata Hai
Jo Chah Kar Bhi Yeh Dil Mita Nahi Paata Hai

Kyon Yeh Aansu Thamne Ka Naam Nahi Lete
Us Ajnabi Ki Raah Ko Takte Hai Rehte

Kyon Yeh Dil Bas Ek Zid Kare Baitha Hai
Us Sangdil Ke Pyar Ki Aas Lagaye Baitha Hai

Kyon Yeh Mausam Itna Haseen Ho Chala Hai
Pal Pal Saath Bitaye Lamho Ka Saaz Ched Chala Hai

Kyon Is Dard Se Har Pal Meri Jaan Chali Jaati Hai
Har Dhadkan Ek Hi Fariyaad Kare Jaati Hai

Kyon Pyar Mein Dard Ka Saath Zaroor Milta Hai
Ankhein Band To Jannat, Khulne Par Khaakh Hi Milta Hai

Kyon Zameer Kisi Ka Awaaz Nahi Deta
Kisi Ke Matam Pe Khushiya Hai Saja Deta

Kyon Tanhaiyan Is Mod Pe Raas Nahi Aati
Ujaale Ke Lauv Se Andheron Mein Hai Le Aati

Kyon Is Dil Ke Tootne Par Koi Awaaz Nahi Hai
Ya Zamana Shayad Aaj Behra Ho Chala Hai

Kyon Is Dil Ki Dastak Aaj Ansuni Ho Gayi
Woh Chalta Chala Gayi, Aur Main Yahi Reh Gaya...