Thursday, 30 August 2012

Tum haqiqat ho koi khawab nahi.....

maiN bhool jaaoon tumhe, ab yahi munaasib hai
magar bhoolna bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
ke tum to fir bhi haqikat ho koi khwaab nahiN
yahan to dil ka ye aalam hai kyaa kahoon 'kambakht'
bhula saka na ye wo silsila jo thaa hi nahiN

wo ik khyaal jo awaaz tak gaya hi nahin
wo ek baat jo maiN keh nahiN saka tumse
wo ek rawt jo hum meiN kabhi raha hi nahiN
muJhe hai yaad wo sab jo kabhi huwa hi nahiN
agar ye haal hai dil ka to koi samjhaaye

tumhe bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhoolooN
ke tum to fir bhi hakikat ho koi khwaab nahiN

No comments:

Post a Comment